Thursday, 21 June 2012

Corruption ka raaj hai


Bigra hua yahan har shaks ka mizaaj hai
Hamaray mulk mei to corruption ka raaj hai

Yeh mulk  faqat usi ka hai mairay doston
Yahan saja hua  jis k sar pay taaj hai

Bohat aam hai is mulk mei  aam tateel
Har din he yahan yom e ehtejaaj hai

Bairon e mulk to kehlatay hain daishat gard
Andiron e mulk bijli hai na anaaj hai

Jo aaj bhi apnay imaan per he qayam hai
Wohi is mulk mei tang dast o mohtaaj hai

Har hukmiraan ko mileen talian aur phir galian
Pichlay 65 saal say yehi to riwaaj hai

Beemaari to sab he bayaan kartay hain
Kis tabeeb k paas is mulk ka ilaaj hai?

Akhir kon ibtida karaega yahan islaah ki
Bigra hua nizaam, soya hua samaaj hai

Lakin vote to zaroor daal daina arsalan
Voter list mei to tumhara indaraaj hai

Dil nae lagta ab kitabon mei...



khoya rehta hun mei khuwabon mei
dil nae lagta ab kitabon mei

kitabain kholtay he neend ate hai
na hoga aisa nasha sharabon mei

Inter ka zamana yaad ata hai
jab ghazlain theen shamil nisabon mei
(nisabon mei = in course)

parhai ka load aur yeh load shedding
ghiray hain hum kaisay azabon mei

ab woh zamanay to beet chukay
jab chupatay thay kaghaz jurabon mei
(jurabon mei = in socks:p)

jab combine study ka prog banta hai
paaye jatay hain hum phir dhabon mei

gulabon ke jaga cigratte nay lay le
suttay miltay hain ab kitabon mei

sawaal to asaan he hotay hain
paaish ate hain mushkil jawabon mei

class mei baithna itna dushwaar hai
jaisay hota hai siasi khitabon mei

nazam to khatam hogae arsalan
phir lagna paraega ab hisabon mei

DEDICATED TO ALL THE STUDENTS:D

Umer nadani ke



guzray barson mein to mann manee ke
ab guzar gae hai umer nadani ke....

sab afsanvi he hote hain.......
suni theen jo batein jawani ke

pehlay tarastay thay hum khilono ko
ab tamanna hai bijli aur pani ke

walaidain nay to kashti paar lagadi
baat kartay hain woh ab tughyani ke

huwa hai ab mushkilon ka ehsaas
haqiqatain khule hain zindgani ke

suntay thay pehlay paryo ke kahani
ab batein hai rishwat satani ke

ab milna bhi gawara nai kartay
baat kartay thay jo gul fishani ke

pehlay thay bari nokrio k khuwab
ab batein kartay hain darmiane ke

aaj kisi aur muqaam pa hotay
gar maan laitay naseehat ustani ke

maire daasta hai abtak adhoori
kaha say milay laila is kahani ke:p

isi ko zindagi kehtay hain arsalan
ismei kia baat hai hairani ke.......:)

Tribute to School


Most of u mst have heard this poem before as i read it on the last day of r school in auditorium (30th march,2006).
So,now 4 years have passed but we still miss our school.So, i m sharing this poem again,here it goes:


jab hum aye thay school pehle baar
sab nay kia tha hamein kitna pyar

hum thay nannay munnay aur masoom
khoob roye jab gaye class room

har bachay ke ankhain theen ashk baar
teacher nay hamein samjhaya bar bar

lakin jab hoe sab say dosti.........
to hamien ache lagnay lagi zindagi

bas jab utha theen ammi sotay mein
to hum atay thay school ghussay mein

lakin jab miltay hum dosto say.....
to bhar jata har pal khushyon say

hamein bilkul na hua yeh ehsaas...
k kitne jaldi guzri hai class.......

har pal sang rahay sathee hamaray
jaisay hotay hain aasma pay sitaray

kabhi hum laray kabhi hum khailay
sajatay rahay yunhi chahat k mailay

jab bohut ziada parhatay ustaaad
to dil dil mei hum kartay faryaad

tafreeh karnay per parte daant
bat tameezi pay par jata chamaat:p

kisi period mein tha ata mazaa
kisi period mei thee milte saza

lakin ab hogaya school ka ikhtaitaam
hamein yaad ayega har iska kaam

ab iske batein he reh jaenge
ab iske yaadein hamein sataeinge

school nay dia hamein bohut kuch
soorat e ilm dia hamien sukh

hum jo b hain tumhare hai inayat
sada qayam raho tum Shahwilayat

Maira bachpan



Jab bhi karta hun yaad mei apna bachpan
mahak uthta hai mairay dil ka aangan
(aangan=baagh or garden)


Mandlanay lagtay hain phir yadon k saaye
taiz hojate hai meray dil ke dharkan


aate hai hasse apne masoomiat per
k chehra he tha meray dil ka darpan
(darpan=ayna or mirror)


kitna sacha,kitna mukhlis tha har dost
kitna acha,kitna pyara tha har bandhan


Na koi majburi the na koi mahroomi
na koi fikar the aur na koi uljhan.......


khilonay hua kartay thay maire dunya
khushyo say bhara rehta maira daman


sunta tha mein paryon ke khani
khuwab mei b the taro ke chilman
(chilman=parda)


kabhi na mehsoos ke meinay tanhai
rehta tha bas apne dhun mei magan


sab rakhtay thay maira kitna khayal
ma rehte the hamaisha saya figan


dil mei na theen bare khuwahishaat
chote baton pay mei manata jashan


nahaya karta tha mei jhoom k
jab b barsa karta tha sawan


pakra karta tha mein titliyaan
rango say bhara tha maira jeevan


na koi larai the na koi ranjish
maire zindagi mein tha aman he aman


yaadein hain pholon ke manind arsalan
unsay sada mehkaiga tumhara chaman

Baraae tawajjo


This poem is a pre match analysis of the captain of PTI and his team. I really admire the enthusiasm of the supporters of PTI but obviously it is the captain and the team who perform, not the spectators. I wish best of luck to PTI and its supporters for their future. I do not intend to start a fiery debate b/w pro PTI and anti PTI, as it is the essence of democracy to respect each other's opinion. So, please keep your views as light as possible....:p

ayyay bayaan karta hun mei is k ausaaf
naam hai jiska Pakistan tehreek e insaaf
(ausaaf=attributes)

kyonkar na ho ab inpay bhi tanqeed
jab boltay rahay hain yeh sab k khilaaf
(kyonkar=why not)

woh jo corrupt jamaton ka hissa thay
nazar atay hain ab inkay charon atraaf
(atraaf=sides)

har jamaat ab is jamaat ka hissa hai
ho Muslim league noon ya  Muslim league qaaf

daikhna hai k loton ko sar e raah laikar
kaisay puray karaengay yeh apnay ahdaaf
(ahdaaf=targets)

woh log k jin ka maazi tha daagh daar
ab orhay hain diyanat daari k laihaaf

sar apna jhuka dain ager zar-dar yaha per
ghaliban hojaen un k bhi gunaaf maaf
(the literal meaning of 'zar-dar' is cash rich while you can comprehend the intended meaning:p)

woh jo jamhooriat ke batein kartay hain
aamir ke tarhan horaha hai un ka tawaaf
(aamir=dictator               tawaaf=being worshipped)

jalsay aur facebook to dikha rahay hain
k ab barh raha hai in ka graph

kuch ko atay hain yeh na ahal nazar
aur kuch ko atay hain nazar yeh shaffaaf
(na ahal=ineligible        shaffaaf=crystal clear)

abhi to bohat dhund chae hai arsalan
election k baad he hoga yeh matla saaf
(dhund=fog                   matla=sky)