Thursday, 21 June 2012

Dil nae lagta ab kitabon mei...



khoya rehta hun mei khuwabon mei
dil nae lagta ab kitabon mei

kitabain kholtay he neend ate hai
na hoga aisa nasha sharabon mei

Inter ka zamana yaad ata hai
jab ghazlain theen shamil nisabon mei
(nisabon mei = in course)

parhai ka load aur yeh load shedding
ghiray hain hum kaisay azabon mei

ab woh zamanay to beet chukay
jab chupatay thay kaghaz jurabon mei
(jurabon mei = in socks:p)

jab combine study ka prog banta hai
paaye jatay hain hum phir dhabon mei

gulabon ke jaga cigratte nay lay le
suttay miltay hain ab kitabon mei

sawaal to asaan he hotay hain
paaish ate hain mushkil jawabon mei

class mei baithna itna dushwaar hai
jaisay hota hai siasi khitabon mei

nazam to khatam hogae arsalan
phir lagna paraega ab hisabon mei

DEDICATED TO ALL THE STUDENTS:D

No comments:

Post a Comment