Thursday, 21 June 2012

Maira bachpan



Jab bhi karta hun yaad mei apna bachpan
mahak uthta hai mairay dil ka aangan
(aangan=baagh or garden)


Mandlanay lagtay hain phir yadon k saaye
taiz hojate hai meray dil ke dharkan


aate hai hasse apne masoomiat per
k chehra he tha meray dil ka darpan
(darpan=ayna or mirror)


kitna sacha,kitna mukhlis tha har dost
kitna acha,kitna pyara tha har bandhan


Na koi majburi the na koi mahroomi
na koi fikar the aur na koi uljhan.......


khilonay hua kartay thay maire dunya
khushyo say bhara rehta maira daman


sunta tha mein paryon ke khani
khuwab mei b the taro ke chilman
(chilman=parda)


kabhi na mehsoos ke meinay tanhai
rehta tha bas apne dhun mei magan


sab rakhtay thay maira kitna khayal
ma rehte the hamaisha saya figan


dil mei na theen bare khuwahishaat
chote baton pay mei manata jashan


nahaya karta tha mei jhoom k
jab b barsa karta tha sawan


pakra karta tha mein titliyaan
rango say bhara tha maira jeevan


na koi larai the na koi ranjish
maire zindagi mein tha aman he aman


yaadein hain pholon ke manind arsalan
unsay sada mehkaiga tumhara chaman

No comments:

Post a Comment