Thursday, 21 June 2012

Corruption ka raaj hai


Bigra hua yahan har shaks ka mizaaj hai
Hamaray mulk mei to corruption ka raaj hai

Yeh mulk  faqat usi ka hai mairay doston
Yahan saja hua  jis k sar pay taaj hai

Bohat aam hai is mulk mei  aam tateel
Har din he yahan yom e ehtejaaj hai

Bairon e mulk to kehlatay hain daishat gard
Andiron e mulk bijli hai na anaaj hai

Jo aaj bhi apnay imaan per he qayam hai
Wohi is mulk mei tang dast o mohtaaj hai

Har hukmiraan ko mileen talian aur phir galian
Pichlay 65 saal say yehi to riwaaj hai

Beemaari to sab he bayaan kartay hain
Kis tabeeb k paas is mulk ka ilaaj hai?

Akhir kon ibtida karaega yahan islaah ki
Bigra hua nizaam, soya hua samaaj hai

Lakin vote to zaroor daal daina arsalan
Voter list mei to tumhara indaraaj hai

No comments:

Post a Comment